Receive LOVE in your mailbox

Try our weekly newsletter with amazing tips to bring and retain love in your life

#RememberingRomance Valentine’s Day Special A Look At The 100 Most Romantic Dialogues In Bollywood

  • Garmi-e-hasratein nakaam se jal jaate hai … hum chiragon ki tarah shaam se jal jaate hai … shama jis aag mein jalti hai numaish ke liye … hum ussi aag mein gumnaam se jal jaate hai … jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath … jaane kyun log mere naam se jal jaate hai – Raaz
  • Jabse tumne pyar ko samjha hai, pyar ko jana hai … sirf usi se pyar kiya hai – Kuch Kuch Hota hai
  • Jhagda tabhi hota hai jab dard hota hai … aur dard tabhi hota hai jab pyar hota hai – Shootout At Wadala

Who thought you’d find one in here? 😛

  • Yun nazar ki baat ki aur dil chura gaye … hum toh samjhe the budh, aap toh dhadkan suna gaye – Devdas
  • Saath mein picture dekhi, samose khaaye, haath pakda … uske baad kiss ka hi number aata hai na? – Jannat

Had anybody else said it, it wouldn’t have worked. But Emraan, so cute mmuaaah!

  • Thappad se darr nahi lagta sahab … pyar se lagta hai – Dabangg

How can we leave out this masterpiece?

  • Ishq … jo toofani dariya se bagawat kar jaaye woh ishq … bhare darbar mein joh duniya se lad jaaye woh ishq … jo mehboob ko dekhe toh khuda ko bhool jaaye woh ishq – Bajirao Mastani
  • Ek ladki sirf itna hi chahti hai … ki koi usse itna pyar kare … jitna kisi ne kisi se na kiya ho – Rab Ne Bana Di Jodi

Well, now you know!

  • Yeh aankhen, yeh chehra, yeh noor … insaan ho ya pari ho tum – Dilwale
  • Tera haath se haath chodna … tera saayon ka rukh modna … tera palat ke phir na dekhna … nahin maaf karoonga main … jab tak hai jaan, jab tak hai jaan – Jab Tak Hai Jaan
  • Log kehte hai khoobsurat ladkiyan jab jhoot bolti hai … toh aur bhi khoobsurat lagti hai- Hum Aapke Hain Kaun

Kinda on the lines of koi haseena jab rooth jaati hai, eh? 😉

  • Kahin na kahin, koi na koi mere liye banaya gaya hai … aur kabhi na kabhi main usse zaroor milungi – Dil Toh Pagal Hai
  • Mohabbat bahut khoobsurat hoti hai … toh kya hua agar woh apne saath thoda sa dard laati hai- Mohabbatein

SO much emotion in words!

  • Namaaz mein woh thi … par laga dua hamari manzoor ho gayi – Raanjhanaa
  • Main usse bahut pyar karti hoon … ek din ke liye nahi … ek pal ke liye nahi … zindagi bhar ke liye – Dil Toh Pagal Hai
  • Kya koi kisi se itna pyar kar sakta hai ki uski jaan lele? – Dhoom 2
  • Chehre pe itna noor tumhare, aankhon mein itna pyar … aisa laga milkar jaise, aaj mile hain hum pehli baar – Jeet
  • Pyar ishq mohabbat … duniya ka sabse aakhri aur khatarnak nasha hai – Jism 2

Meri khwaishon se teri khwaishein rihaa hain, meri karwaton se teri daastan bayaan hain…

  • Taqdeerein badal jaati hai, zamana badal jaata hai, mulkon ki tarikh badal jaati hai, Shahenshah badal jaate hai … magar is badalti hui duniya mein mohabbat jis insaan ka daaman thaam leti hai … woh insaan nahi badalta – Mughal- e- Azam
  • Kuch kuch hota hai Rahul, tum nahi samjhoge – Kuch Kuch Hota Hai

Tell me, you do use this one still– 😉

  • Nafrat ko sirf mohabbat se jeeta ja sakta hai … sirf mohabbat se – Dhadkan
  • Meri mohabbat ek chutki bhar sindoor ki mohtaj nahi – Imtihaan

Coz to hell with labels!

  • Jab jab dard ka baadal chhaya, jab gham ka saaya lehraya, jab aasoon palkon tak aya, jab yeh tanha dil ghabraya … humne dil ko yeh samjhaya, dil aakhir tu kyun rota hai … duniya mein yunhi hota hai … yeh jo gehre sannate hain, waqt ne sabko hi baante hain … thoda ghum hai sabka qissa, thodi dhoop hai sabka hissa … aankh teri bekaar hi nam hai, har pal ek naya mausam hai … kyun tu aise pal khota hai, dil aakhir tu kyun rota hai – Zindagi Na Milegi Dobara
  • Kabhi kabhi dil jodne ke liye dil todna padta hai … aur dil todkar jodne waale ko … pata nahi kya kehte hai – Badshah

I know- Badshah! 😉

  • Pyar ka matlab sirf pyar ka izhaar karna nahi hota … pyar bina kuch kahe bhi, pyar hi hai … pyar qurbani bhi hai … pyar ek doosre ke liye chup rehna bhi hai … pyar ka matlab sirf pyar ko pana nahi hai … pyar kisi aur ki khushi ke liye, apni khushi mitana bhi hai – Mujhse Dosti Karogi
  • Main tumhara saaya hoon … tum mujhse peecha nahi chhuda sakte – Border
  • Main zindagi mein sab kuch baant sakti hoon par tumhe nahi … tum sirf mere ho, sirf mere – Farz
  • Koi bhi mazaak karlo … lekin apne se bichadne ki baat mazaak mein bhi mat karna – Dhadkan
  • Jeeonga toh tere saath … maroonga toh tere haath – Ram Leela

A love like this…

  • Tussi ja rahe ho? … tussi na jao- Kuch Kuch Hota hai

Awwww…

  • Tum ho toh hum hai … hum hai toh sab kuch hai … varna kuch nahi, kuch bhi nahi – Baghban
  • Tum woh mannat ho … jo minnatein karke poori hoti hai – Once upon a time in Mumbaai Dobara
  • Sachchi mohabbat ko pechaanne ke liye aankhon ki nahi … dil ki zaroorat hoti hai – Darr
  • Kyun … hum aapke hain kaun? – Hum Aapke Hain Kaun

Because after a 100 such visitations where you only thought of the one you love, you should say it already!

Have a very happy Valentine’s Day, guys! ☺

Featured image source: latestpicsms

Summary
Article Name
A Look At The 100 Most Romantic Dialogues In Bollywood On Valentine's Day
Author
Description
Coz when it comes to romantic dialogues and Bollywood- 'tis like namaz mein woh thi par laga ki dua hamari kabul ho gayi...
Read the rest of the article: Previous
Amrin Talib

Amrin Talib

I am a brunette and an egalitarian. I love good food, cats, dogs, and books. I love to write, along with being an adrenaline junkie who hopes to travel the world someday. I have a cat named Duck.