We know Piyush Mishra as the man who dons many hats and looks rad in each! My favorite avatar of him is indisputably that of a poet! Sharp, humorous and candid, Piyush Mishra, the poet is the recipe for lethal! Each time his pen kisses the paper, magic is what happens! Suck that up, Hogwarts!
Image source: filmfare
So here are 17 such times when Mishra drove daggers through our hearts and we were still far from complaining!
Woh kaam bhala kya kaam hua
Jisme na jaan ragadti ho
Woh ishq bhala kya ishq hua
Jisme na baat bigdi ho
Woh kaam bhala kya kaam hua
Jism mein saala dil ro jaye
Woh dil bhala kya dil hua
Jo asani se aa jaye!
Aarambh hai prachand
Bole mastako ke jhund
Aaj jang ki ghadi ko tum guhaar do
Aan baan shaan
Ya ki jaan ka ho daan
Aaj ik dhanush ke baan pe
Utaar do!
Aaj maine phir jazbaat bheje
Tumne phir alfaaz hi samjhe
Halki phulki si hai zindagi
Bojh toh khwahishon ka hain
Dard ki barish mein
Hum akele hi the
Jab barsi khushiyan
Na jaane
Bheed kaha se aa gayi!
Insaan khud ki nazar mein sahi hona chahiye
Duniya toh bhagwan se bhi dukhi hain!
Zindagi ka falsafa bhi kitna ajeeb hain
Shame kat ti nahi aur saal
Guzarte chale jaa rahe hain!
Sochta hoon zeher de doon
Sab khwahishon ko dawat pe bulakar!
Jeevan ki raahon mein aana ya jaana, bataa ke nahi hota hai
Jaate kahin hai magar jaante na ki aana wahi hota hai
Khone ki zidd mein yeh kyon bhulate ho ke paana bhi hota hai
Woh pal abhi waisa hi hai, chhoda tha jo jaisa wahi
Aisi sazaa deti hawa, tanhai bhi tanha nahi
Neendein bhi ab sone gayi, raaton ko bhi parwah nahi
Suggested read: Heartfelt poetry of Javed Akhtar- that captures LIFE just right
Pal pal ko ginta
Pal pal ko chunta
Beeti kahani mein khoya
Patte jab jhadte hindustan mein
Yaadein tumhari ye bolein
Hota ujala, hindustan mein, baatein tumhari ye bolein
O husna meri yeh to batado
Hota hai aisa kya
Uss gulistan mein
Rehti ho nanhee kabutar si gum tum jahaan!
Bachpan ki tang gali
Phir se kud faandein
Chhoti chhoti meethi chori
Gaanth leke baandhe
Ik patang sa udata thaa parindon ki tarah
Parindon ki tarah, parindon ki tarah
Ek dorr thaa mann mann morr thaa
Kaagazo ki kashti o mein duba rehta thaa
Jhaankti khidki o mein uljha rehta thaa
Woh bhi kyaa torr thaa mann pe na zorr thaa
Mann morr tha
Ik bagal mein chand hoga, ik bagal mein rotiyan,
Ik bagal neend hogi, ik bagal mein loriyan,
Hum chaand pe roti ki chaadar daalkar so jayenge,
Aur neend se keh denge lori kal sunane aayenge..
Ki ujala hi ujala sheher hoga jis mein hum tum banayenge ghar
Dono rahenge kabootar se jis mein hoga na baazon ka darr
Hoga nahi hum pe maaloom saathi, teeno jahan ka asar,
Raahon ko rahe batayenge saathi hum, aisa haan hoga safar
Ek bakhat ki baat bataein, ek bakhat ki
Ja sheher hamaro so gayo tho raat gajab ki,
hai chahu aur sab aur disa se lali chahyi re,
jugni nache chunar odhhe khoon nahayi re
Mukaam khoj le tu, makaan khoj le tu
Insaan ke sheher mein insaan khoj le tu
Dekh teri thokar se raah ka woh patthar
Maathe pe tere kaske lag jaaye na uchhal ke
O raat ke musafir tu bhaagna sambhal ke
Potali mein teri ho aag na sambhal ke
O raat ke musafir..
Ajeeb dastur hain mohabbat ka
Rooth koi jata hain
Toot koi jata hain!
Abhi abhi kuch guzra hai
Laparwah, dhool mein daudta hua
Zara palat kar dekhu toh
Bachpan tha shayad!
Before signing off I have excavated something special for you guys: Piyush Mishra’s first poem which he wrote in Class 8! Thank me later!
Zinda ho haan tum koi shak nahin, saans lete hue dekha maine bhi hain
Haath aur pairon aur jism ko harqatey khoob dete huey dekha maine bhi hain
Ab bhale hi yeh kartey huye honth tum dard sehte hue sakht see lete ho
Ab hain bhi kya kum tumharey liye, khoob apni samajh mein toh jee lete ho..
Love <3
Featured image source: Youtube